top of page

Khushiyan Lyrics
Khushiyan
Lyrics by Sanjai Chetan
chand roz pahle
ik khwab tu mera tha
ik saans si haqiqat
tu aaj ho gaya hai
tujh pe o mere hamdam
na ho aitbaar kaise
mere khayalon ki tu
awaaz ho gaya hai
ye khushiyan ye kamiyan
ye kamiyan ye khushiyan
sab tere dam se hai
sab kamiyan sab khushiyan
ye khushiyan ye kamiyan
ye kamiyan ye khushiyan
sab tere dam se hai
sab kamiyan sab khushiyan
tujhse mila to har shay
maane badal rahi hai
sookha har ik pataa
ik saaz ho gaya hai
zinda tha tujh se pahle
par zindagi kahan thi
tujhko mila to jeene ka
aghaz ho gaya hai
ye khushiyan ye kamiyan
ye kamiyan ye khushiyan
sab tere dam se hai
sab kamiyan sab khushiyan
bottom of page
