top of page

Mere Yaar Kaho Lyrics
Mere Yaar Kaho
Lyrics by Sanjai Chetan
Mere yaar kaho, Kya kar gujro,
Jab dard mein ho per kah na sako,
(x2)
Jab saath mein ho per rah na sako
Koshish bhi karo per sah na sako,
Mere yaar kaho, Kya kar gujro,
Jab dard mein ho per kah na sako
Ho saath tumhara sadiyon ka,
Tum aasman, aur wo dharti
Is dil ki tamanna, kitini bhi ho
Wo baahon mein bhi, par choo na sako.
Mere yaar kaho, Kya kar gujro,
Jab dard mein ho per kah na sako
(x3)
Ik din to fana hona hai magar,
Ab aur nahi, ho waqt yahi
(x2)
Us paar kaho kaise pahuncho
Tarna bhi ho aur fir bah na sako
(x2)
Ye dard mujhe pagal kar de
Ab maar hi de, gaarat kar de,
bottom of page
